dariya-e-ashk chashm se jis aan bah gaya sun lijiyo ki arsh ka aiwan bah gaya bal-be-gudaz-e-ishq ki khun ho ke dil ke sath sine se tere tir ka paikan bah gaya zahid sharab pine se kafir hua main kyun kya dedh chullu pani mein iman bah gaya hai mauj-e-bahr-e-ishq wo tufan ki al-hafiz bechaara musht-e-khak tha insan bah gaya dariya-e-ashk se dam-e-tahrir haal-e-dil kashti ki tarah mera qalam-dan bah gaya ye roe phut phut ke pani ke aable nala sa ek su-e-bayaban bah gaya tha tu baha mein besh par us lab ke samne sab mol tera lal-e-badakhshan bah gaya kashti sawar-e-umr hun bahr-e-fana mein 'zauq' jis dam baha ke le gaya tufan bah gaya tha 'zauq' pahle dehli mein punjab ka sa husn par ab wo pani kahte hain multan bah gaya