dariya mein hai sarab ajab ibtila mein hun main bhi husain hi ki tarah karbala mein hun tikte nahin kahin bhi qadam aarzuon ke phenka hai jab se teri zamin ne khala mein hun aawaz kab se deta tha hirman-nasib dil ab aai hai to gharq nashat-e-bala mein hun kya farz hai ki isa-o-mariyam dikhai de maslub dard chikhe ki main ibtila mein hun har lahza inhidam ka hai khauf mujh ko 'hosh' main is dayar-e-shor-o-shar-e-zalzala mein hun