dariya pe barishon ka asar kuchh nahin hua mujh par bhi sazishon ka asar kuchh nahin hua duniya ne koshishen to bahut kin magar janab un par sifarishon ka asar kuchh nahin hua dil chir kar bhi main ne dikhaya use magar zalim pe khwahishon ka asar kuchh nahin hua wo mere har sawal pe patthar bana raha nadan pe pursishon ka asar kuchh nahin hua 'santosh' main ne dhundha use har dayar mein par meri kawishon ka asar kuchh nahin hua