darkar kuchh nahin teri mehr-o-wafa ke baad

darkar kuchh nahin teri mehr-o-wafa ke baad
kuchh aur mangta hi nahin is dua ke baad

qurban jaun aisi sakhawat pe main huzur
kya chahiye jo puchh rahe hain ata ke baad

kaisa faqir hun main teri bargah ka
kashkol tod deta hun aksar sada ke baad

kal bhi khuda se pahle adhuri thi kaenat
kuchh bhi nahin hai aaj bhi duniya khuda ke baad

'yasir' sitam ki naz hai insaf par use
puchha mera qusur hai jis ne saza ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close