darmiyan gar na tera wada-e-farda hota kis ko manzur ye zahr-e-gham-e-duniya hota kya qayamat hai ki ab main bhi nahin wo bhi nahin dekhna tha to use dur se dekha hota kasa-e-zakhm-talab le ke chala hun khali sang-reza hi koi aap ne phenka hota falsafa sar-ba-gareban hai badi muddat se kuchh na hota to khuda jaane ki phir kya hota hum bhi nau-khez shuaon ki balaen lete apne zindan mein agar koi daricha hota aap ne haal-e-dil-e-zar to puchha lekin puchhna tha to koi us ka mudawa hota dast-e-muflis se tahi-tar hai safina 'anwar' is pahunchne se to sahil pe na pahuncha hota