darwaza tere shahr ka wa chahiye mujhko

darwaza tere shahr ka wa chahiye mujh ko
jina hai mujhe taza hawa chahiye mujh ko

aazar bhi the sab se ziyaada meri jaan par
altaf bhi auron se siwa chahiye mujh ko

wo garm hawaen hain ki khulti nahin aankhen
sahra main hun baadal ki rida chahiye mujh ko

lab si ke mere tu ne diye faisle sare
ek bar to bedard suna chahiye mujh ko

sab khatm hue chah ke aur khabt ke qisse
ab puchhne aae ho ki kya chahiye mujh ko

han chhuta mere hath se iqrar ka daman
han jurm-e-zaifi ki saza chahiye mujh ko

mahbus hai gumbad mein kabutar meri jaan ka
udne ko falak-bos faza chahiye mujh ko

samton ke tilismat mein gum hai meri taid
qibla to hai ek qibla-numa chahiye mujh ko

main pairwi-e-ahl-e-siyasat nahin karta
ek rasta in sab se juda chahiye mujh ko

wo shor tha mahfil mein ki chilla utha 'waiz'
ek jam-e-mai-e-hosh-ruba chahiye mujh ko

taqsir nahin 'arsh' koi samne phir bhi
jita hun to jine ki saza chahiye mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close