dasht aankhon mein tha aawaz mein virani thi

dasht aankhon mein tha aawaz mein virani thi
kha gaya shahr use kahte hain diwani thi

lams ek dhup ka kafi tha samajh jaane ko
barf tha jism magar ruh-e-rawan pani thi

jab talak ishq sunata raha hum sunte rahe
baad is ke to kahani badi be-mani thi

ek lahze mein nazar aa gaya tha sach hum ko
zist aankhon se guzarti hui uryani thi

dekhte dekhte aankhon mein utar aai thi
har nazare mein nihan ek nai hairani thi

main ne khud par kabhi hone na di zahir lekin
mujh mein teri kami har shakhs ne pahchani thi

tum ne bekar hi hathon ko jalaya 'mira'
aag kuchh der mein waise bhi to bujh jaani thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close