dasht-dar-dasht aks-e-dar hai yahan tum bhi aao ki mera ghar hai yahan phailti ja rahi hai surkh lakir jaise koi lahu mein tar hai yahan dhup se bach ke jaen aur kahan apni zat ek ghana shajar hai yahan wahi mitti hai sab ke chehron par aaina sab se ba-khabar hai yahan shakh-dar-shakh ek saya hai chand jo hai pas-e-shajar hai yahan dub kar jis mein apni thah mili lamha lamha wahi bhanwar hai yahan pattharon mein hazar chehre hain han magar koi tisha-gar hai yahan kuchh mujhe bhi yahan qarar nahin kuchh tera gham bhi dar-ba-dar hai yahan zahr ki kat kis se ho 'akhtar' waqt ka marg-e-neshtar hai yahan