dasht-dar-dasht phire aabla-pai le kar

dasht-dar-dasht phire aabla-pai le kar
hum to khush ho liye sahra ki khudai le kar

subh guzri meri daryuza-gari karte hue
sham aai bhi to kashkol-e-gadai le kar

wo pasheman udhar aur main hairan idhar
but bane baithe rahe donon safai le kar

shahr ki galiyon mein phirta hai koi yun jaise
chand aawara phire dagh-e-judai le kar

dasht ki chikh samaat pe giran hai ab ke
kya kare koi yahan shoala-nawai le kar

hum ko tadpati rahin kunj-e-qafas ki yaaden
pa-ba-zanjir rahe tujh se rihai le kar

khub roya dar-e-zindan se lipat kar 'paikar'
kaun aaya tha ye paigham-e-rihai le kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close