dasht-e-dua mein tere parastar rah gae shoalon ke aabshaar mein gulnar rah gae tere visal-o-hijr gae to gaya magar teri shabahaton ke sab aazar rah gae jin par tere gulab se chehre ke aks hain meri nazar mein wo dar-o-diwar rah gae wo to amir-e-shahr ki aaghosh mein gaya us ki gali mein aaina-bardar rah gae hum ne likhe huruf-e-gham-e-jaan waraq waraq padhne ko gesu-o-lab-o-rukhsar rah gae zakhm-e-hunar ke chahne wale nahin rahe khush-rang shohraton ke kharidar rah gae jalne lage badan to barasne laga lahu suraj ki rah mein rasan-o-dar rah gae