dasht-e-ehsas mein aawaz-e-dara milti hai mujh ko har sans mein tamhid-e-nawa milti hai raat so jae to bedar hawa milti hai ghar ki dahliz pe qadmon ki sada milti hai tujh ko shayad nahin malum harif-e-jada ye sadak dasht-e-bala-khez se ja milti hai hum jise bechna chahen wo khariden kyon kar zindagi hum se tu bazar mein kya milti hai chand pane ko musir ho koi rota bachcha aaina hath mein de do to jaza milti hai ghar ke shishon pe tera nam likha hai jab se dhup gul-dan ke phulon se khafa milti hai tujh ko sochen bhi nahin aur kahani ki tarah baat kyon kucha-o-bazar se ja milti hai