dasht-e-tanhai mein yun kaTi zindagi

dasht-e-tanhai mein yun kati zindagi
sath mere bhatakti rahi zindagi

phir kisi race mein thak ke gir jaegi
daudti bhagti hanpti zindagi

mangti main rahi maut se mohlaten
chikhti hi rahi zindagi zindagi

nam kya main rakhun zindagi ke bata
bebasi bekasi tirgi zindagi

khud-kushi ka irada kiya tha magar
bich mein aa gai phir teri zindagi

chhin kar jab gaya khwab aankhon se wo
tab se patthar ki murat bani zindagi

sath tere guzara karen kab talak
chahiye ab hamein dusri zindagi

tham leta munazzah agar hath wo
dar-ba-dar kyon bhatakti meri zindagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close