dasht-o-sahra mein samundar mein safar hai mera rang phaila hua ta-hadd-e-nazar hai mera nahin malum, use us ki khabar hai ki nahin wo kisi aur ka chehra hai, magar hai mera tu ne is bar to bas mar hi dala tha mujhe main hun zinda to meri jaan hunar hai mera aaj tak apni hi tardid kiye jata hun aaj tak mere khad-o-khal mein dar hai mera baghban aisa ki mitti mein mila baitha hun shakh-dar-shakh darakhton pe asar hai mera shaeri, ishq, gham-e-rizq, kitaben, ghar-bar kai samton mein ba-yak-waqt guzar hai mera