dasne lage hain khwab magar kis se boliye main jaanti thi pal rahi hun sanpoliye bas ye hua ki us ne takalluf se baat ki aur hum ne rote rote dupatte bhigo liye palkon pe kachchi nindon ka ras phailta ho jab aise mein aankh dhup ke rukh kaise kholiye teri barhana-pai ke dukh bantte hue hum ne khud apne panw mein kante chubho liye main tera nam le ke tazabzub mein pad gai sab log apne apne azizon ko ro liye khush-bu kahin na jae pa israr hai bahut aur ye bhi aarzu ki zara zulf kholiye taswir jab nai hai naya canwas bhi hai phir tashtari mein rang purane na gholiye