dast-e-hunar jhatakte hi zaea hunar gaya chaaragari nahin rahi jab chaara-gar gaya hasti se mil gaya mujhe kuchh nisti ka fahm sahra wahan mila jahan dariya utar gaya kya ho sake hisab ki jab aagahi kahe ab tak to raegani mein sara safar gaya wo ek jazba jis ne jamal-ashna kiya manzar hata to jism ke andar hi mar gaya shayad sar-e-hayat mujhe aa mile kabhi ek shakhs mere jaisa na jaane kidhar gaya