dast-e-kohsar se phisla hua patthar hun main sar-ba-sar sang-tarashon ka muqaddar hun main ghunt lamhat ki pi pi ke dhula jata hun an-ginat waqt ke dhaaron ka shanawar hun main kya dubo deta hun main dil ke kuen mein khud ko chashm-e-be-nur mein yusuf ka baradar hun main kirchiyan zehn mein paiwast hain palkon ki tarah chashm-e-ayyam se chhuta hua saghar hun main odh leti hai mujhe sard faza ki dewi karb ki dhup mein tapti hui chadar hun main meri aawaz ko aawaz ne taqsim kiya radio mein hun telephone ke andar hun main nae mahaul se manus nahin hun ab tak nanhe bachche ki tarah khol ke andar hun main chand ashaar mile type-shuda daftar mein type-writer pe bithaya hua bandar hun main