dast-e-shabnam pe dam-e-shoala-nawai na rakho subh ki god mein shab bhar ki kamai na rakho meri yaadon ke sanam khanon se uthne do dhuan mere sine pe abhi dast-e-hinai na rakho jag jae na kahin husn ka sota pindar dida-e-shauq mein andaz-e-gadai na rakho shab ko rahne do yun hi sham-o-sahar ka paiwand dar ke zulmat se buniyaad-e-judai na rakho husn bhi apne taqazon se hai aakhir majbur husn ke dosh pe ilzam-e-khudai na rakho phir kisi taur sameto ye bikharte hue rang yun pareshan tasawwur ki ikai na rakho apne wijdan se bhi kaam nikalo koi rahbar hi ke liye rah-numai na rakho apne zakhmon ko chhupao kisi unwan 'samad' rahguzaron mein gham-e-abla pai na rakho