dast-e-zaruriyat mein batta chala gaya main be-panah shakhs tha ghatta chala gaya pichhe hata main rasta dene ke waste phir yun hua ki rah se hatta chala gaya ujlat thi is qadar ki main kuchh bhi padhe baghair auraq zindagi ke palatta chala gaya jitni zyaada aagahi badhti gai meri utna darun-e-zat simatta chala gaya kuchh dhup zindagi ki bhi badhti chali gai aur kuchh khayal-e-yar bhi chhatta chala gaya ujde hue makan mein kal shab tera khayal aaseb ban ke mujh se lipatta chala gaya us se talluqat badhane ki chah mein 'fahmi' main apne-ap se katta chala gaya