dastak hawa ki sun ke kabhi dar nahin gaya lekin main chand-raat mein bahar nahin gaya aankhon mein ud raha hai abhi tak ghubar-e-hijr ab tak wida-e-yar ka manzar nahin gaya ai sham-e-hijr-e-yar meri tu gawahi de main tere sath sath raha ghar nahin gaya tu ne bhi sare zakhm kisi taur sah liye main bhi bichhad ke ji hi liya mar nahin gaya sada fasil-e-shahr mujhe dekhti rahi lekin main tera nam bhi likh kar nahin gaya bakhsha shab-e-firaq ko dil ne abad ka tul shab bhar lahuluhan raha mar nahin gaya