dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai

dastan-e-shauq kitni bar dohrai gai
sunne walon mein tawajjoh ki kami pai gai

fikr hai sahmi hui jazba hai murjhaya hua
mauj ki shorish gai dariya ki gahrai gai

husn bhi hai maslahat-bin ishq bhi duniya-shanas
aap ki shohrat gai yaron ki ruswai gai

hum to kahte the zamana hi nahin jauhar-shanas
ghaur se dekha to apne mein kami pai gai

zakhm milte hain ilaj-e-zakhm-e-dil milta nahin
waz-e-qatil rah gai rasm-e-masihai gai

gard udai jo siyasat ne wo aakhir dhul gai
ahl-e-dil ki khak mein bhi zindagi pai gai

meri maddham lai ka jadu ab bhi baqi hai 'surur'
fasl ke naghme gae mausam ki shahnai gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close