dastan kya thi aur kya bana di gai

dastan kya thi aur kya bana di gai
kuchh ghata di gai kuchh badha di gai

kar ke tajdid-e-ahd-e-wafa dil-nashin
qaid ki aur muddat badha di gai

jaan hatheli pe le kar pahunch hi gae
ahl-e-dil ko jahan bhi sada di gai

rabt-e-baham wo pahle sa baqi nahin
kaisi surat jahan ki bana di gai

chashm-e-haq-bin mein duniya ye kuchh bhi nahin
sirf aankhon mein dilkash bana di gai

bhul pana unhen ab to mumkin nahin
dil mein kaisi ye surat basa di gai

kho gae kin khayalon mein tum ai 'sahar'
mahfil-e-jaan-o-dil to saja di gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close