dastanon mein wo jadu hai na tafsiron mein hai

dastanon mein wo jadu hai na tafsiron mein hai
jo teri aankhon ki be-awaz taqriron mein hai

raegan hain kal ki khushiyan kal ke gham bhi be-asar
ab bhala rakkha hi kya mazi ki taswiron mein hai

teri aankhon mein agar padhne ki himmat hai to padh
karb ka mazmun mere mathe ki tahriron mein hai

us ke ek ek ang mein wo barha pai gai
jo tanasub ki kashish tarshe hue hiron mein hai

wo chubhan sheron mein dhal jae to mahshar ho bapa
jo abhi us shakhs ki guftar ke tiron mein hai

har-qadam par chikh uthti hai hazaron ghantiyan
naghmagi kaisi mere panw ki zanjiron mein hai

aankh khulte hi ajab dhadka sa dil ko lag gaya
wo kahan sapnon mein tha jo un ki tabiron mein hai

mutmain hain hum kisi surat na manzar se hain khush
na-shakebai ka nashtar apni taqdiron mein hai

dhup ki shiddat ne un ko kar diya garche nidhaal
phir bhi chalne ki lagan 'betab' rahgiron mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close