dastur tha jo gham ka purana badal gaya sambhle na the abhi ki zamana badal gaya shikwa nahin ki saghar-o-mina badal gae tuta khumar kaif-e-shabana badal gaya jo bab the aham abhi hone the wo raqam par kya ki likhte likhte fasana badal gaya mashq-e-sukhan wahi hai mashaqqat bhi hai wahi kaise karun yaqin zamana badal gaya naghma-sara hain hum to usi sur mein lai mein hain par log kah rahe hain tarana badal gaya qaem purane hilon bahanon pe aaj bhi samjhe the is ka tarz bahana badal gaya meri thi kya majal haqiqat badal sakun khake tah-e-khayal banana badal gaya 'adil' tujhe yaqin nahin aaya na aaega tera wo yar-e-ghaar purana badal gaya