daur-e-charkh-e-kabud jari hai jism-o-jaan par jumud tari hai goya insan nahin hayula hun meri rag rag mein dud sari hai maut ham-sae mein hui hai to kya bazm-e-raqs-e-surur jari hai doston se wo kya karenge suluk jin par apna wajud bhaari hai hai tasawwur mein ek rukh-e-raushan aur lab par darud jari hai umr bhar khul saki na dil ki girah khub shaghl-e-kushud-kari hai bhar na paega zakhm-e-dil 'sahir' zarb-e-harf-e-husud kari hai