daur-e-gardun mein kisi ne meri gham-KHwari na ki

daur-e-gardun mein kisi ne meri gham-khwari na ki
dushmanon ne dushmani ki yar ne yari na ki

hashr ka sauda hua zauq-e-jamal-e-dost mein
hum ne bazar-e-jahan mein kuchh kharidari na ki

qahqahon ki mashq se main ne nikala apna kaam
jab kisi ne qadr-e-ah-o-nala-o-zari na ki

ku-e-jaanan ka pata de kar main pahuncha khuld mein
mujh se kuchh rizwan ne bahs-e-naji-o-nari na ki

waqt sae ka abhi aaya nahin maghrib hai dur
kyon pasand us barq-wash ne mashriqi sari na ki

jama-zebon ki nazar bhi dalq-e-'akbar' par padi
shan hi kuchh aur thi us khirqa-e-parina ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close