daur-e-hazir ho gaya hai is qadar kam-ashna aashna hamdam hai koi ab na hamdam-ashna aah kis manzil pe pahunchi hain meri tanhaiyan dhundne se bhi nahin milta mujhe gham-ashna mukhtasar ye hai mere qalb o nazar ki dastan aashna-e-dard-e-dil hai aankh hai nam-ashna allah allah ye faza-e-dushman-e-mehr-o-wafa aashna ke nam se hota hai barham aashna umr bhar 'anwar' rahunga aarzu ka sogwar marg-e-arman par azal se hun main matam-ashna