daur saghar ka chale saqi dobara ek aur abr kaba se utha hai man kahna ek aur jhumta aata hai wo baadal ka tukda ek aur saqiya bhar kar pila de jam-e-sahba ek aur din ko jo kuchh tum ne dekha ye to thi sab dil-lagi shab ko rah jao to dikhlaen tamasha ek aur main unhen kahta hun tum bedard ho na-ashna wo lagate hain mujhe ilzam ulta ek aur dil ko nafrat ho gai nazron se aakhir gir gae tum se behtar apni aaankhon mein samaya ek aur kyun sisakta chhode jate ho mujhe maqtal mein tum faisla kar dun main qurban de ke charka ek aur tere aane mein tawaqquf jab hua ai nama-bar khat unhen bechain ho kar hum ne likkha ek aur band mahram ke khule kuchh be-hijabi ho chuki wo bhi ab uth jae jo baqi hai parda ek aur dost dushman ho gae yaron ne aankhen pher lin rah gaya hai aap ka mujh ko bharosa ek aur wasl ki shab mein kiya murgh-e-sahar ka band-o-bast nara-e-allahu-akbar ka hai dhadka ek aur ho chuka zikr-e-dahan wasf-e-kamar likhte hain hum dam mein sayyaad ke phansta hai anqa ek aur said ki kasrat se 'agha' ban padi sayyaad ki do ne gar pai rihai aa ke uljha ek aur