dawar-e-hashr zara aur badhe baat ki bas mujh se kuchh aur bhi puchhenge sawalat ki bas jis ko sun kar kabhi khush hote ho naraaz kabhi aap farmaen ki dohraun wahi baat ki bas kya main ab chhod dun yarab yahin ummid ka sath kya abhi aur thahar sakti hai ye raat ki bas zindagi kya isi uljhan mein guzar jaegi kya abhi aur bhi bigdenge ye haalat ki bas ye qayamat ki ghadi sar se talegi yarab hain dikhane ko abhi aur kamalat ki bas