dayar-e-ghair mein kaise tujhe sada dete tu mil bhi jata to aakhir tujhe ganwa dete tumhi ne hum ko sunaya na apna dukh warna dua wo karte ki hum aasman hila dete hamein zoam raha ki ab wo pukarenge unhen ye zid thi ki har bar hum sada denge wo tera gham tha ki tasir mere lahje ki ki jis ko haal sunate wo rula dete tumhein bhulana hi awwal to dastaras mein nahin jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete tumhaari yaad mein koi jawab hi na diya mere khayal hi aansu rahe sada de kar hum apne bachchon se kaise kahen ki ye gudiya hamare bas mein jo hoti to dila dete samaaton ko main ta-umr kosta 'sayyad' wo kuchh na kahte hont to hila dete tumhein bhulana hi awwal to dastaras mein nahin jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete