dayar-e-hijr mein khud ko to akasr bhul jata hun tujhe bhi main teri yaadon mein kho kar bhul jata hun ajab din the ki barson zarb-e-khushbu yaad rahti thi ajab din hain ki fauran zakhm-e-khanjar bhul jata hun guzar jata hun ghar ke samne se be-khayali mein kabhi daftar ke darwaze pe daftar bhul jata hun isi bais badi chahat se milta hun ki main akasr juda hote hi chehra nam paikar bhul jata hun mujhe patthar ki surat hi sahi zinda to rahna hai so main har waqia manzar-ba-manzar bhul jata hun wo sab kuchh yaad rakhta hun bhulana jis ka behtar ho magar jo yaad rakhna ho sarasar bhul jata hun