dayar-e-husn mein pabandi-e-rasm-e-wafa kam hai bahut kam hai bahut kam hai ba-hadd-e-intiha kam hai jafa-e-be-sabab kam hai ki jaur-e-na-rawa kam hai teri be-dad ai zalim na hone par bhi kya kam hai kamal-e-dilbari mein kaun si teri ada kam hai na shokhi kam haya se hai na shokhi se haya kam hai ba-kasrat sair ki hai har rawish gulzar-e-alam ki yahan rang-e-mohabbat hai bahut bu-e-wafa kam hai khuda ke nam par dast-o-gireban hain khuda wale bahut hai jis qadar zikr-e-khuda khauf-e-khuda kam hai azal se hoti aai hai abad tak hoti jaegi gunahgar-e-wafa par jis qadar bhi ho jafa kam hai dua ko hath kyun utthe mere timar-daron ke zaban se kyun nahin kahte ki ummid-e-shafa kam hai rahe kyunkar na bad-zan wo shah-e-husn ai 'wafa' mujh se bada nadan hai sunta bahut hai dekhta kam hai