de gae zakhm mere chahne wale mujh ko aaj tanha hun bahut koi sambhaale mujh ko dubne wale ko tinke ka sahaara bhi bahut koi aisa ho ki aa kar jo bacha le mujh ko wo jo kahte the ki jiwan ki khushi ho tum hi kar gae aaj wahi gham ke hawale mujh ko dil-e-sad-chaak ko wo khar se karta hai rafu hae ye bakhiya-gari mar na dale mujh ko ek muddat se main khud se bhi hun ruthi ruthi ai meri jaan kabhi aa ke mana le mujh ko hai safar dasht ka mushkil to magar himmat kar hausla dene lage panw ke chhaale mujh ko yaad aati hai mujhe man ki wo mamta aksar lad se jab wo khilati thi niwale mujh ko