de kar mujhe wo yaad sabhi khwab le gaya yani mujhe bhi sath tah-e-ab le gaya us ne nahin kiya hai meri raat ko hasin go sham ko hi din ke sabhi tab le gaya tha khub tarf-dar tumhaara payam-bar jis jis pe achchha likkha tha wo bab le gaya main ne nahin thi chhedi meri tab koi ghazal jab mere sab khayal wo be-khwab le gaya tab rah gaya main apni hi us sadgi pe dang jab dekha mere harfon ko talab le gaya