dekh in chiDiyon ko chiDiya-ghar na dekh

dekh in chidiyon ko chidiya-ghar na dekh
laut mat pichhe ko yun mud kar na dekh

hathiyon ki pith par baitha hai din
sham se pahle koi manzar na dekh

apni diwaron se kuchh bahar nikal
sirf khali ghar ke baam-o-dar na dekh

pattharon ke karb ko mahsus kar
mere sine par rakha patthar na dekh

kar gaya suraj sabhi ko be-libas
ab koi saya koi paikar na dekh

apni nangi chaarpai dhanp le
us ke bistar ki dhuli chadar na dekh

farsh par be-lafz aawazon ko sun
hinhinati ghodiyon ke sar na dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close