dekh kar ru-e-sanam ko na bahal jaunga

dekh kar ru-e-sanam ko na bahal jaunga
marte dam le ke sambhaala to sambhal jaunga

tan kafan-posh to ho aur hi pairahan mein
ujle kapde mein badalte hi badal jaunga

chaman-e-dahr mein wo barg-e-khizani hun main
gar na barbaad hua aag mein jal jaunga

hun wo sabit-qadam ai charkh jo bhaunchaal bhi aae
chahe tal jae zamin main nahin tal jaunga

main wo uftada-e-chashm-o-nazar-e-alam hun
panw pakdegi zamin bhi to phisal jaunga

saz-o-saman-e-tarab kuchh na agar hath aaya
jhanjh ho kar kaf-e-afsos hi mal jaunga

'shad' bahkun na kabhi nashsha-e-daulat ho hazar
kuchh main kam-zarf nahin hun jo ubal jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close