dekh kar tujh ko na jaane kyon udhar khul rahe hain khud-ba-khud diwar-o-dar ya raqam kar paniyon par apni baat ya sulagti ret par aa kar bikhar zindagi ka ye hasin manzar to dekh wo parinde ham-sukhan hain shakh par barf raaton ka asasa kaun hai chilchilati dhup mein ghuma na kar ya khala ko apni mutthi mein samet ya nadi ban kar samundar mein utar faeda khali garajne se hai kya chupke se ai abr-e-awara guzar