dekh mazi ke darichon ko kabhi khola na kar bhagte lamhon ke pichhe is tarah dauda na kar ai mere suraj mere sae ke derina rafiq raste mein raushni ban kar bikhar jaya na kar ye bhi mumkin hai tere diwar-o-dar tere na hon ghar ke andar baith kar tu is tarah roya na kar kah liya kar gahe gahe tu koi achchhi ghazal mahfil-e-sher-o-sukhan se khud ko yun tanha na kar kah rahi hai mujh se mere ghar ki tariki 'faraaz' raat ho jae to ghar se tu kahin jaya na kar