dekh na paya jis paikar ko wadon ki angnai mein dhund raha hun us ka chehra khwabon mein tanhai mein kaise ho malum ye aakhir purwai ke jhonkon ko phulon par kya bit chuki hai shakhon ki angdai mein dhalte suraj ki aaankhon ne aakhir mujh ko dhund liya chhup na saka main bhi pipal ke sae ki lambai mein pa kar teri sans ki aahat dil yun machla jae hai jaise shor machae gagar panghat ki gahrai mein har ek shakhs ke aage karun kyun shikwe ki diwar khadi sirf ek tera hath hai mere lahje ki ruswai mein 'shaariq' dal do aaankhon par tum apni palkon ka ye ghilaf sara shahr pahunch gaya hai sannate ki khai mein