dekha hai jis ne yar ke ruKHsar ki taraf

dekha hai jis ne yar ke rukhsar ki taraf
hargiz na jawe sair kun gulzar ki taraf

aaina-dil ki chashm mein nur jamal dost
raushan hua hai har dar-o-diwar ki taraf

manzur hai salamati-e-khun agar tujhe
mat dekh us ki nargis-e-bimar ki taraf

wahan nahin baghair jauhar-e-shamshir khun-baha
zahid na ja wo zalim-e-khunkhar ki taraf

hai dil kun azm-e-chauk umid-e-visal par
diwana ka khayal hai bazar ki taraf

kya puchhte ho tum ki tera dil kidhar gaya
dil ka makan kahan? yahi dildar ki taraf

parwana kun nahin hai magar khauf-e-jaan 'siraj'
nahaq chala hai shola-e-didar ki taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close