dekha jo us taraf to badan par nazar gai ek aag thi jo mere piyale mein bhar gai un raston mein nam-o-nasab ka nishan na tha hangama-e-bahaar mein khilqat jidhar gai ek dastan ab bhi sunate hain farsh o baam wo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai itna qarib pa ke use dam-ba-khud tha main aisa laga zamin ki gardish thahar gai