dekhe to sahi koi ye anjuman-arai

dekhe to sahi koi ye anjuman-arai
hai mahfil-e-yaran mein tanhai hi tanhai

insan ko jab apni pahchan nahin aai
kis kaam ki binai kis kaam ki danai

yunhi to nahin milti logon se pazirai
saudai to hain lekin lagte nahin saudai

is darja junun-khezi is haal pe le aai
hum apne tamashe ke hain khud hi tamashai

jo bhi hain zamane mein shohrat ke tamannai
dekhi hai 'saghir' un ki ruswai pe ruswai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close