dekhi hain bazm-e-shauq ki ranaiyan bahut likkhi thin par nasib mein tanhaiyan bahut hairan hun kis tarah se wo maqbul ho gaya kahne ko us ke sath thin ruswaiyan bahut hum to hisar-e-hijr se bahar na ja sake us ki to shahr mein thin shanasaiyan bahut kundan sa jism jhuti ana par luta diya kanon mein gunjti rahin shahnaiyan bahut khud apni zat mein hi mukammal 'ghazal' hain hum dekhi hain hum ne husn ki ranaiyan bahut