dekhna hai pyas ke sahra ka pas-manzar to aa ai samandar tu hamare jism ke andar to aa dekh phir jamid manazir ke lahakne ka saman ai nashat-e-harf-e-taza tu mere lab par to aa ek sukut-e-bekaran rag-rag mein hai utra hua tu utha sakta hai apne khun se mahshar to aa qatra qatra de chuka hun apne hi khun ka qisas ab bhi tishna hai tere insaf ka khanjar to aa main khuda ki tarh tanhai ke sho'lon mein jalun tu bhi hai is karb-e-tanhai ka paighambar to aa dekh raushan ho gae hain naqsh-e-lauh-e-aftab shahzade ab tilism-e-khwab se bahar to aa