dekhne wale ko bahar se guman hota nahin aag kuchh aise lagai hai dhuan hota nahin apne hone ki khabar deta hai khushbu se mujhe phailta hai chaar-su aur darmiyan hota nahin raushni kar de tamasha-gah se dahshat mite kohr itna hai ki pas-e-manzar ayan hota nahin sochna chaho to zer-e-pa mile haft-asman dekhna chaho to zine ka nishan hota nahin muntazir rahne se 'hamid' qufl ko zarben laga aap hi khul jae dar aisa yahan hota nahin