dekhne walo kaho dil mein kasak hai ki nahin

dekhne walo kaho dil mein kasak hai ki nahin
un ke chehre pe mere gham ki jhalak hai ki nahin

aap ke hijr mein rota hai ye dil aath pahar
dekhiye nam mere ashkon se palak hai ki nahin

tund lahje mein kiya tu ne sada mujh se kalam
teri aawaz mein kuchh loch lachak hai ki nahin

be-rukhi se teri dil mera hua hai ghayal
aur zakhmon pe chhidakne ko namak hai ki nahin

saya-e-zulf se mahrum hua hai jis din
tere shaida ko usi din se sanak hai ki nahin

bhul jata hai har ek bar wo wade kar ke
dushmani par meri aamada falak hai ki nahin

aadmi zulmat-e-qismat mein rahega kab tak
is ki taqdir mein taron ki chamak hai ki nahin

ho gaya aaj mera kulba-e-ahzan raushan
un ke aane se makan rashk-e-falak hai ki nahin

raegan ho nahin sakta kabhi khun-e-ushshaq
kucha-e-yar ke zarron mein chamak hai ki nahin

aap ke aane se kis darja mila us ko sukun
rukh-e-bimar pe khushiyon ki damak hai ki nahin

ba'd partaw ke nawa karte hain islah-e-sukhan
mere ashaar mein partaw ki jhalak hai ki nahin

us ki ulfat mein bahut baadiya-paimai ki
ai 'faza' panw ke chhaalon mein tapak hai ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close