dekhte dekhte hi sal guzar jata hai

dekhte dekhte hi sal guzar jata hai
par tera gham hai ki badhta hai thahar jata hai

tairti rahti hai aankhon mein tu har shab aise
jaise dariya mein koi chand utar jata hai

kaun us khwab ki tabir pe karta hai yaqin
khwab jo nind se ladta hua mar jata hai

hum ne aankhon ki zabanon pe lagae hain qufl
warna dil teri hi aawazon se bhar jata hai

koi har roz mujhe chhod ke mar jata hai
jaane wo kaun hai kaisa hai kidhar jata hai

ek hi waqt mein sukh-dukh nahin milte mujh ko
panw gar apne bachaun to safar jata hai

phir se duniya ki taraf dhyan lagaya hai magar
khak itne mein tera dil se asar jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close