der tak chand mukhtasar baaten us se kin main ne aankh bhar baaten tu mere pas jab nahin hota tujh se karta hun kis qadar baaten kaisi bechaargi se karte hain be-asar log ba-asar baaten dekh bachchon se guftugu kar ke kaisi hotin hain be-zarar baaten sun kabhi be-khudi mein karte hain be-khabar log ba-khabar baaten us ki aadat hai baat karne ki wo karega idhar udhar baaten intihai hasin lagti hai jab wo karti hai ruth kar baaten aa mujhe sun ki ho tujhe malum kaisi hoti hain khub-tar baaten sahl kat jae ye tawil safar aur kar mere ham-safar baaten koi sunta na ho kahin 'asim' yun na kar us se phone par baaten