deta nahin dil le ke wo maghrur kisi ka sach hai ki na zalim se chale zor kisi ka aaraish-e-husn aaina-rukh karte ho har dam lena hai magar dam tumhein manzur kisi ka be-wajah nahin tabish-e-arbab-e-safa ko hai jalwa-gar is aaine mein nur kisi ka aata hai nazar yan jo har aiwan-e-shikasta yak waqt mein tha khana-e-mamur kisi ka wo shokh pari rashk-ba-kaf tegh-e-siyah-mast aata hai kiye shisha-e-dil chur kisi ka rokun main ab us ko sar-e-rahe kabhi aa ke itna to main rakhkhun nahin maqdur kisi ka 'bedar' mujhe yaad usi ki hai shab-o-roz ne baat kisi ki hai ne mazkur kisi ka