deta tha jo saya wo shajar kat raha hai khud apne tahaffuz ki wo jad kat raha hai be-samt udanon se pashiman parinda ab apni hi minqar se par kat raha hai mahbus hun ghaaron mein magar aazar-e-takhil chattanon mein ashkal-e-hunar kat raha hai ek zarb-e-musalsal hai ki rukti hi nahin hai har tar-e-nafas dard-e-jigar kat raha hai hai kaun kamin-gah mein ye kaise bataun har tir magar mere hi par kat raha hai ummid ujale ka liye tesha har ek dil har raat ba-andaz-e-sahar kat raha hai karta hai fuzun wahshat-e-dil dasht ka mausam 'bilqis' magar kya karun ghar kat raha hai