dhaDkan bhi munhasir hai meri teri yaad par

dhadkan bhi munhasir hai meri teri yaad par
chalta nahin hai zor dil-e-na-murad par

guzri hai aadhi zindagi fikr-e-maash mein
itne zaruri kaam hain jo rakkhe baad par

itna safed khun hai logon ka ab yahan
rishta bhi rakhte hain kisi zati mafad par

rakhta hai panw jaise koi apne sae par
main khud se lad pada hun khudi ke fasad par

'kaunain' is zamin ki koi milkiyat na thi
aadam ne dastakhat kiye is jaedad par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close